lutf aata hai unhen har zulm-e-nau-ijad mein chain aata hai mujhe dard-e-dil-e-nashad mein dil ko dekhun ya jigar ko ya gham-o-andoh ko saz-e-hasti jal raha hai ab kisi ki yaad mein jaan muztar dil mukaddar qalb mahzun chashm nam hae kya kya ban gai hum par kisi ki yaad mein