lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin

lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin
dil pe khuda ki mar ki phir bhi chain nahin aaram nahin

jitne munh hain utni baaten dil ka pata kya khak chale
jis ne dil ki chori ki hai ek usi ka nam nahin

jalwa o dil mein farq nahin jalwe ko hi ab dil kahte hain
yani ishq ki hasti ka aaghaz to hai anjam nahin

ruk ke jo sansen aain gain mana ki wo aahen thin lekin
aap ne tewar kyun badle aahon mein kisi ka nam nahin

ishq ke aazari bhi kahin mar jaane se ji jate hain
le ye tasalli rahne de ai maut ye tera kaam nahin

kab se padi hain dil mein tere zikr ki sari rahen band
barson guzre is basti mein rasm-e-salam-o-payam nahin

had thi ye betabi-e-dil ki jaaniye ab kya hona hai
sabr ki had bhi hone aai subh nahin ya sham nahin

dil pe apna bas nahin chalta un ki shikayat kya kije
aap hum apne dushman thahre dost pe kuchh ilzam nahin

dil se kisi ki aankhon tak kuchh raaz ki baaten pahunchi hain
aankh se dil tak aaya ho aisa to koi paigham nahin

naza mein 'fani' tu ne ye kis ka chupke chupke nam liya
kyun o kafir teri zaban par ab bhi khuda ka nam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close