maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao

maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao
bhadak utthi hai sham-e-zindagani dekhte jao

chale bhi aao wo hai qabr-e-'fani' dekhte jao
tum apne marne wale ki nishani dekhte jao

abhi kya hai kisi din khun rula degi ye khamoshi
zaban-e-haal ki jadu-bayani dekhte jao

ghurur-e-husn ka sadqa koi jata hai duniya se
kisi ki khak mein milti jawani dekhte jao

udhar munh pher kar kya zabh karte ho idhar dekho
meri gardan pe khanjar ki rawani dekhte jao

bahaar-e-zindagi ka lutf dekha aur dekhoge
kisi ka aish-e-marg-e-na-gahani dekhte jao

sune jate na the tum se mere din-raat ke shikwe
kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao

wo uttha shor-e-matam aakhiri didar-e-mayyat par
ab uttha chahti hai nash-e-'fani' dekhte jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close