mafrur kabhi KHud par sharminda nazar aae

mafrur kabhi khud par sharminda nazar aae
mumkin hai chhupa chehra aainda nazar aae

wallah sharafat kya aslaf ne pai thi
gardish mein rahe lekin tabinda nazar aae

qurban jo hue haq par kab maut unhen aai
sadiyon ke tasalsul mein wo zinda nazar aae

khurshid-e-muqaddar ke bujhne se bujhe kab hum
zulmat mein sitaron se rakhshanda nazar aae

lagta hai juda sab se kirdar 'wasim' us ka
wo shahr-e-mohabbat ka bashinda nazar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close