mahtab hai na aks-e-ruKH-e-yar ab koi

mahtab hai na aks-e-rukh-e-yar ab koi
kate to kis tarah ye shab-e-tar ab koi

mumkin hai dast-o-bazu-e-qatil to thak bhi jae
shayad thame na dida-e-khunbar ab koi

ahl-e-jafa se kahna tarashen salib-o-dar
shayan-e-sarw-qamat-e-dil-dar ab koi

har ahd mein agarche raha jurm harf-e-haq
shayad na aae hum sa gunahgar ab koi

han ai junun 'sarmad'-o-'mansur' ko nawed
is dhaj se aaega na sar-e-dar ab koi

shahr-e-hawas mein qadr-e-wafa tere dam se thi
is jins ka nahin hai kharidar ab koi

ai kaj-kulah-e-abla-payan-e-rah-e-shauq
shayad hi gul khilae sar-e-khar ab koi

jitna lahu tha sarf-e-qaba ho chuka tamam
ku-e-wafa mein aae na zinhaar ab koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close