mai-e-faraghat ka aaKHiri daur chal raha tha

mai-e-faraghat ka aakhiri daur chal raha tha
subu kinare visal ka chand dhal raha tha

wo saz ki lai ki nachta tha lahu ragon mein
wo hiddat-e-mai ki lamha lamha pighal raha tha

faza mein lahra rahe the afsurdagi ke sae
ajab ghadi thi ki waqt bhi hath mal raha tha

sakun se mahrum thin tarab-gah ki nashisten
ki ek naya iztirab jismon mein chal raha tha

nigahen dawat ki mez se dur kho gai thin
tamam zehnon mein ek saya sa chal raha tha

hawa-e-ghurbat ki lahr anfas mein rawan thi
nae safar ka charagh sinon mein jal raha tha

bhadak rahi thi dilon mein hasrat ki pyas lekin
wahin nai aarzu ka chashma ubal raha tha

badan pe tari tha khauf gahre samundaron ka
ragon mein shauq-e-shanawari bhi machal raha tha

na jaane kaisa tha inqalab-e-sahar ka aalam
badal rahi thi nazar ki manzar badal raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close