jab KHilaf-e-maslahat jine ki naubat aai thi

jab khilaf-e-maslahat jine ki naubat aai thi
dub marte dub marne mein agar danai thi

main to har mumkin use lata raha tere qarib
kya karun ai dil teri taqdir mein tanhai thi

khauf ka ifrit sansen le raha tha dasht mein
raat ke chehre pe sannate ki dahshat chhai thi

ek ye naubat ki wahshat dhundhta phirta hun main
ek wo mausam ki gulshan ki hua sahrai thi

aasman se gir rahi thi shokh rangon ki phuwar
meri aankhon mein tere didar ki ranai thi

shab-gazidon se hisab-e-gham chukane ke liye
tum na aae the magar subh-e-qayamat aai thi

main kidhar jata ki har jaanib zaban-e-khalq thi
main kahan chhupta ki mere khoj mein ruswai thi

dahr mein mashhur thi 'shahid' meri be-chaargi
aur an-dekhe jahanon par meri darai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close