mail-zabt bhi aamada-e-fariyaad bhi hai

mail-zabt bhi aamada-e-fariyaad bhi hai
dil giraftar-e-mohabbat bhi hai aazad bhi hai

dastan-e-dil-e-masum na puchh ai hamdam
ye wo basti hai jo aabaad bhi barbaad bhi hai

ai mere zabt ko kaamil na samajhne wale
qabil-e-dad meri koshish-e-fariyaad bhi hai

ud ke jaun bhi to kya aur na jaun bhi to kya
muntazir barq bhi hai tak mein sayyaad bhi hai

kya likhun kya na likhun surkhi-e-afsana-e-dil
gham bhi hai dard bhi hasrat bhi hai fariyaad bhi hai

dil-e-diwana ki to hasti-e-hushiyar na puchh
ye giraftar-e-qafas tair-e-azad bhi hai

meri taskin to kar bhul ke itna to bata
yaad rakhne ka jo wada tha tujhe yaad bhi hai

ek 'rawish' dil ki ho ai 'arsh' to kuchh baat bhi ho
kya musibat hai ki ye shad bhi nashad bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close