main abhi ek bund hun pahle karo dariya mujhe phir agar chaho karo wabasta-e-sahra mujhe phailta hi ja raha tha main khamoshi ki tarah qulzum-e-awaz ne har samt se ghera mujhe mere hone ya na hone se use matlab na tha tere hone ka tamasha hi lagi duniya mujhe log kahte hain kisi manzar ka main bhi rang tha tu ne ai chashm-e-falak udte hue dekha mujhe aashna us par ke manzar nahin mujh se magar jaanta hai dhund ki diwar ka saya mujhe main ki sannaton ka mubham istiara tha koi dastan hota zamana shauq se sunta mujhe shukr hai main ek sada tha tair-e-mani na tha warna wo to zer-e-dam-e-harf hi rakhta mujhe main hi main hun aur badan ke ghaar mein koi nahin kar diya tanha sagan-e-dahr ne kitna mujhe