zaban walon se ek be-zaban puchhta hai makin kahan gae khali makan puchhta hai khuda yahan bhi tassub wahan bhi hai ki nahin karachi walon se hindostan puchhta hai mujhe ye dhup ye barsat kyun satati hai ye baat mujh se mera saeban puchhta hai mizaj puchhne walon se khairiyat teri tera mariz tera nim-jaan puchhta hai hamare bare mein kuchh puchhta nahin koi koi nasab to koi khandan puchhta hai