main bichhaD kar tujhse teri ruh ke paikar mein hun

main bichhad kar tujh se teri ruh ke paikar mein hun
tu meri taswir hai main tere pas-manzar mein hun

apna markaz dhundta hun daeron mein kho ke main
kitne janmon se main ek mahdud se chakkar mein hun

khud hi dastak de raha hun apne dar par der se
ghar se bahar rah ke bhi jaise main apne ghar mein hun

main wo aazar hun jise barson rahi apni talash
khud hi murat ban ke poshida har ek patthar mein hun

dekhne wale mujhe meri nazar se dekh le
main teri nazron mein hun aur main hi har manzar mein hun

gunjta hun apne andar aur kho jata hun main
ek sada ban kar ana ke gumbad-e-be-dar mein hun

main kabhi ek jhil tha phaile hue sahraon mein
aaj main ek pyas ka sahra hun aur sagar mein hun

maut ko 'azad' ye irfan dena hai mujhe
katti hai mujh ko jis se wo main us khanjar mein hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close