ye dil ki dastan hai ki dil ghulam kar diya ajib log aap hain ajib kaam kar diya tumhaari ye sakhwaten tumhaari ye inayaten jo gham tumhaare pas tha hamare nam kar diya dilon ka bhed khul gaya to phir ajib rang mein dabi dabi si baat ko kisi ne aam kar diya kisi ko surkh-ru kiya kisi ki bazm-e-shauq mein zara zara si baat par ye ehtimam kar diya kabhi hamein bura laga kabhi hamein bhala laga hamare dil ki baat ko kisi ne aam kar diya udan khub-tar hui jo panchhiyon ki dar ki to gher-ghaar kar kisi ne zer-e-dam kar diya