main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua ki us ke baad kisi ka bhi aashna na hua tamam umr mera mujh se ikhtilaf raha gila na kar jo kabhi tera ham-nawa na hua wo jate jate dilase bhi de gaya kya kya ye aur baat ki phir us se rabta na hua hazar shukr salamat hai mera sar ab bhi hazar dushman-e-jaan se bhi dostana hua zara si chot pe jhankar gunj uthti hai ki saz tut gaya phir bhi be-sada na hua kuchh itna sahl nahin tha zamir ka sauda bala se main kabhi ahl-e-qaba hua na hua ajab hai yaadon ki bahti hui ye khushk nadi lahu ko aankh se tapke hue zamana hua