mere qarib se guzre mujhe sada bhi na de zaban ko lafz nigahon ko hausla bhi na de ab us se kaise talluq ki aarzu rakkhen dua-e-khair to kya wo ki bad-dua bhi na de ye chandni main gilason mein ghol dun na kahin main chahta hun wo yaadon ka aasra bhi na de hamin pe sajte hain yaro sharab bhi gham bhi khuda ke waste ab koi mashwara bhi na de meri nigah usi rukh ki hai asir 'tapish' jo apne rukh se kisi baat ka pata bhi na de