main hare mausamon mein jalta raha khushbuon se dhuan nikalta raha aag par hont rakh diye the kabhi aakhiri sans tak pighalta raha main akela bhi karwan ki tarah raston ke baghair chalta raha hadse mujh ko pesh aate rahe aur zamane ka ji bahalta raha meri aawaz munharif na hui waqt ka faisla badalta raha zindagi mujh ko qatl karti rahi maut ki wadiyon mein palta raha karobar-e-sukhan kiya main ne ya 'muzaffar' lahu ugalta raha