main hi nahin hun barham us zulf-e-kaj-ada se

main hi nahin hun barham us zulf-e-kaj-ada se
tuk munh tera jo paen uljhen abhi hawa se

tum ne nikalne mein kuchh kam na kin jafaen
ab tak jo tham rahe hain hum apni hi wafa se

pahli nigah mein dil par barchhi si lag gai hai
pahunche the intiha ko hum us ki ibtida se

rakhna qadam zamin par tuk dekh kar pyare
dil rah mein pade hain lakhon ke naqsh-e-pa se

ja ai tabib yan se itna nahin samajhta
bimari-e-mohabbat kis ki gai dawa se

main aashiq-e-bala hun karta hun us ko sajda
khak-e-qadam ko us ki jo aao karbala se

mashhur thi buzurgi un ki sabhon se lekin
apne tain taaruf chandan na tha ziya se

aksar gali se us ki dekha tha main ne jate
ho gae the is sabab se kuchh surat-ashna se

kal un ko main ne dekha sar nange pa-barahna
jama jo hai gali mein sau tukde ja-ba-ja se

dar-parda yun main un se puchha ki qibla-e-man
kyun aaj is qadar hain aazurda-o-khafa se

mahjub se wo ho kar kahne lage na puchho
mar jaen ya ilahi chhuten kahin bala se

ye turfa majra hai ek ja pe dil diya hai
par qahr hain wahan ke launde zara zara se

itni si umr mein ye ayyariyan hain karte
lete hain dil ko pahle de de bahut dilase

jab dekhte hain aaya ab ikhtiyar mein dil
jo dekhiyo to phir pesh aate hain is ada se

main ne kaha ki hazrat aap apni tarf dekhen
jo in buton se hoga so hoga wo khuda se

be-ikhtiyar ho kar bole ki sach hai sahab
waqif nahin hue ho ishq-e-hawas-faza se

dariya ke rahne wale kya jaanen is asar ko
pani ki qadr puchho un se jo hain piyase


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close