tera hai kaam kaman mein use lagane tak

tera hai kaam kaman mein use lagane tak
ye tir khud hi chala jaega nishane tak

main shisha kyun na bana aadmi hua kyunkar
mujhe to umr lagi tut phut jaane tak

gae huon ne palat kar sada na di mujh ko
main kitni bar gaya ghaar ke dahane tak

tujhe to apne paron par hi e'tibar nahin
tu kaise aaega ud kar mere zamane tak

kiya tha faisla buniyaad-e-ashiyan ka 'nasim'
hawaen tinke uda lain aashiyane tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close