main is se pahle ki bikhrun idhar udhar ho jaun

main is se pahle ki bikhrun idhar udhar ho jaun
mujhe sambhaal le mumkin hai dar-ba-dar ho jaun

ye aab-o-tab jo mujh mein hai sab usi se hai
agar wo chhod de mujh ko to main khandar ho jaun

meri madad se khujuron ki fasl pakne lage
main chahta hun ki sahra ki dopahar ho jaun

main aas-pas ke mausam se hun tar-o-taza
main apne jhund se niklun to be-samar ho jaun

badi ajib si hiddat hai us ki yaadon mein
agar main chhu lun pasine se tar-ba-tar ho jaun

main kachchi mitti ki surat hun tere hathon mein
mujhe tu dhaal de aise ki mo'atabar ho jaun

bachi-khuchi hui sanson ke sath pahunchana
suno hawao agar main shikasta-par ho jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close