main jo rota hun to kahte ho ki aisa na karo tum agar meri jagah ho to bhala kya na karo ab to ai dil hawas-e-saghar-o-mina na karo chhod bhi do ye taqaza ye taqaza na karo dil pe ai dost qayamat si guzar jati hai tum nigah-e-ghalat-andaz se dekha na karo phir bhi aankhen unhen har baat bata deti hain dil to kahta hai kisi baat ka charcha na karo ab mera dard meri jaan hua jata hai ai mere chaaragaro ab mujhe achchha na karo ye sar-e-bazm meri samt ishaare kaise main tamasha to nahin mera tamasha na karo mil hi jati hai kabhi yas mein taskin mujhe ai umido mujhe aise mein to chheda na karo us ne 'shahzad' teri baat ko thukra hi diya main na kahta tha ki izhaar-e-tamanna na karo