main kho gaya tha koi shai talash karte hue

main kho gaya tha koi shai talash karte hue
parae shahr mein apne talash karte hue

phir ek subh mujhe aankh phodna padi thi
hasin khwab ke reshe talash karte hue

main sukhe ped se aksar kalam karta tha
hawa-e-sabz ke lahje talash karte hue

hum un parindon ke jaise hain jo zamin pe teri
shikar ho gae dane talash karte hue

kabhi kabhi to mukammal ghazal se milta hun
sukhan ke shahr mein misre talash karte hue

kahin kahin to mujhe aankh kharch karna padi
nafis panw ke chhaale talash karte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close