main KHuda bhi to nahin kyun mujhe tanha likh de

main khuda bhi to nahin kyun mujhe tanha likh de
ab mere nam ki suli pe masiha likh de

aise sannate se behtar hai shikaston ki sada
meri mitti mein ek udta hua patta likh de

de wo unwan ki zarurat na kahani ki pade
baghban sabze pe khakistar-e-ghuncha likh de

raat bhar tere ujalon ki qasam khaun main
tu sar-e-sham mari shama ka bujhna likh de

ho chuke khushk meri aankh ke chashme kab ke
samne dasht hai ek abr ka tukda likh de

phul ka zikr bhi karte hue dar lagta hai
phir na tu meri zaban par kahin kanta likh de

dagh us ek kali ka na mitega hargiz
meri jholi mein agar bagh bhi sara likh de

sans lete hue rakh udti hai ab chehre par
na bujha aag magar sath hi chashma likh de

bewafai ki shikayat use kya logon se
jis ki rahon mein tu bachhda hua pyara likh de

ab to is aas pe jite hain ki shayad 'hashami'
likhne wale ne jo ab tak nahin likkha likh de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close