main nahin tha ratjagon mein kaun tha mere siwa

main nahin tha ratjagon mein kaun tha mere siwa
sath mere wahshaton mein kaun tha mere siwa

ek zamane mein hua karta hai gautam ek hi
dusra phir jangalon mein kaun tha mere siwa

hat wo kis ke the jo mere gale tak aa gae
mere jaisa doston mein kaun tha mere siwa

tum to khud apni tajalli hi mein the khoe hue
aks-dar-aks aainon mein kaun tha mere siwa

kis ne mere nam par apni siyahi pher di
mujh se pahle madrason mein kaun tha mere siwa

kaun uksata raha tha sher-goi par mujhe
maujzan meri ragon mein kaun tha mere siwa

pas aate mausamon mein kaun tha mahw-e-khiram
dur hoti aahaton mein kaun tha mere siwa

main to lab-basta tha phir wo chikh kaisi thi 'munir'
raat meri thokaron mein kaun tha mere siwa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close