honTon par hai baat kaDi taziren bhi

honton par hai baat kadi taziren bhi
khamoshi ka rang huin taqriren bhi

khauf yahi hai aane wali naslon ko
ek ajuba hongi ye tahriren bhi

mausam ke sau rup magar in aankhon mein
khwab wahi hain khwabon ki tabiren bhi

aainda ke sans hamare apne hain
tut chukin is wade ki zanjiren bhi

ek ajab hairat mein gum-sum rahti hain
diwaren diwaron par taswiren bhi

pani ki khamosh sadaen kaun sune
khatm huin jab mitti ki tasiren bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close