main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe

main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe
zamin rahe na rahe aasman rahe na rahe

rahe wo jaan-e-jahan ye jahan rahe na rahe
makin ki khair ho ya rab makan rahe na rahe

abhi mazar par ahbab fatiha padh len
phir is qadar bhi hamara nishan rahe na rahe

khuda ke waste kalma buton ka padh zahid
phir ikhtiyar mein ghafil zaban rahe na rahe

khizan to khair se guzri chaman mein bulbul ki
bahaar aai hai ab aashiyan rahe na rahe

chala to hun pae izhaar-e-dard-e-dil dekhun
huzur-e-yar majal-e-bayan rahe na rahe

'amir' jama hain ahbab dard-e-dil kah le
phir iltifat-e-dil-e-dostan rahe na rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close