main teri chah mein jhuTa hawas mein sachcha hun

main teri chah mein jhuta hawas mein sachcha hun
bura samajh le magar dusron se achchha hun

main apne aap ko jachta hun be-hisab magar
na jaane teri nigahon main kaisa lagta hon

bichha raha hun kai jal ird-gard tere
tujhe jakadne ki khwahish mein kab se baitha hon

tu barf hai to pighal jaega tamazat se
tu aag hai to main jhonka tujhe hawa ka hun

bikhar bhi jae to mujh se na bach sakega kabhi
tujhe samet ke lafzon mein bandh sakta hon

main yun bhi hun mujhe malum hi na tha 'nashtar'
samajh raha tha bahut nek hun farishta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close