main to chup tha magar usne bhi sunane na diya

main to chup tha magar us ne bhi sunane na diya
gham-e-duniya ka koi zikr tak aane na diya

us ka zahraba-e-paikar hai meri rag rag mein
us ki yaadon ne magar hath lagane na diya

us ne duri ki bhi had khinch rakhi hai goya
kuchh khayalat se aage mujhe jaane na diya

baadban apne safine ka zara si lete
waqt itna bhi zamane ki hawa ne na diya

wahi inam zamane se jise milna tha
log masum hain kahte hain khuda ne na diya

koi fariyaad kare gunj mere dil se uthe
mauqa-e-dard kabhi hath se jaane na diya

'shaz' ek dard se sau dard ke rishte nikle
kin masaib ne use ji se bhulane na diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close