main to fida-e-nargis-e-mastana ho gaya paimana se dil ab mera mai-khana ho gaya har rang mein mujhe hai mae mushk-bu ka rang jo zarf hath aa gaya paimana ho gaya kuchh makhmasat-e-dahr the diwangi se kam achchha hua ki ishq mein diwana ho gaya dil chahiye gudaz nahin zor-o-zar se kaam apni misal ishq mein parwana ho gaya hota na bagh-e-dil kabhi shahan-e-iltifat achchha hua bahaar mein virana ho gaya danai zer-e-dam hai ai murgh-e-dil abas mana ki dana kha ke tu ab dana ho gaya 'bekhud' to na-rasai zulf-e-butan na puchh qismat pe meri khanda-zan ab shana ho gaya