main tumko pujta raha jab tak KHudi mein tha

main tum ko pujta raha jab tak khudi mein tha
apna mila suragh mujhe be-khudi ke baad

kya rasm-e-ehtiyat bhi duniya se uth gai
ye sochna pada mujhe teri hansi ke baad

ghabra ke mar na jaiye marne se faeda
ek aur zindagi bhi hai is zindagi ke baad

aae hain is jahan mein to jaana zarur hai
koi kisi se pahle to koi kisi ke baad

ai abr-e-nau-bahaar thahar pi raha hun main
jaana baras ke khub meri mai-kashi ke baad

marte the jis pe hum wo faqat husn hi na tha
ye raaz hum pe aaj khula aashiqi ke baad

ai mausam-e-bahaar thahar aa raha hun main
daman-e-chaak-chaak ki bakhiya-gari ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close