main wo hun jis pe abr ka saya pada nahin banjar pada hua hun koi dekhta nahin main to khuda ke sath wafadar bhi raha ye zat ka tilism magar tutta nahin yun tutta zarur bikharta zarur hun main chaak-e-pairahan nahin khunin qaba nahin main ne ulajh ke dekh liya apni gunj se ab kya sada lagaun koi jagta nahin had-bandi-e-khizan se hisar-e-bahaar tak jaan raqs kar sake to koi fasla nahin