main zahr rahi har sham rahi barish ki hawa badnam rahi patal mein dariya jazb hue main sath rahi do-gam rahi imkan-e-asar par shama-e-dua bujhne ki ada ka nam rahi mere tanha dasht ke jazbon mein teri yaad tah-e-alam rahi konpal ko dhup hawa se kya mitti ki nami nakaam rahi baadal meri chhat par kab thahre diwar pe gahri sham rahi is ghar ke andhere lamhon mein bas ek kiran sar-e-baam rahi main chhanw ke sukh se laut gai teri dhup mera aaram rahi