main ne apni maut pe ek nauha likkha hai tum ko sunata hun dekho kaisa lagta hai jism ko kar dala hai khwahish ka harkara chehre par masnui waqar saja rakkha hai suni kar dali hai basti khwab-nagar ki kal tak jo dariya bahta tha khushk hua hai honton se zanjir-e-khamoshi bandh rakhi hai taq-e-umid pe dil ka charagh bujha rakkha hai nind se bojhal palkon par andesha-e-mitti kashti-e-jaan ke dubne ka lamha aaya hai