maut behtar hai aise jine se dil mein kuchh bhi nahin qarine se khushk aankhen kahan jhalakti hain dil mein utre hain kuchh safine se hum ne kya chhu liya tasawwur mein khankhanate hain aabgine se hum ko fursat nahin ghadi-bhar ki pairahan zindagi ka sine se ek lamha ka tajraba behtar roz-o-shab sal aur mahine se ek main to hun muntashir ghar mein warna har chiz hai qarine se aur andhera badha do aangan mein raushni aa rahi hai zine se