maine mana kaam hai nala dil-e-nashad ka

main ne mana kaam hai nala dil-e-nashad ka
hai taghaful shewa aakhir kis sitam-ijad ka

hae wo dil jo hadaf tha nawak-e-bedad ka
dard sahta hai wahi ab ghaflat-e-sayyaad ka

nargis-e-mastana mein kaifiyat-e-jam-e-sharab
qamat-e-rana pe aalam misra-e-ustad ka

mana-e-fariyaad hai kuchh taba ki afsurdagi
kuchh sukut-amoz hai pas-e-adab sayyaad ka

is qadar dilkash raha tera agar andaz-e-jaur
zakhm-e-dil munh chum lega khanjar-e-bedad ka

majlis-e-matam bani aane se un ke bazm-e-aish
pad gaya phulon mein mere ghul mubarakbaad ka

tu na kar tark-e-sitam zalim sitam ho jaega
jaan se jaega khugar lazzat-e-bedad ka

dard-e-nakaam-e-hujum-e-arzu ka hai maal
talkhi-e-hasrat natija shauq-e-ulfat-zad ka

hasrat-afza hai bahut mere dil-e-viran ka jal
kaun hai farman-rawa is mulk-e-ghair-abaad ka

lutf hi aata raha hai sai-e-baatil mein mujhe
hai yahan afsos kis ko mehnat-e-barbaad ka

khinch kar le chal mujhe shauq-e-asiri su-e-dam
kaam aisa kar ki jis se ji badhe sayyaad ka

kis ko shikwa hijr ka aur kis ko hasrat wasl ki
lutf-parwarda hai mera dil kisi ki yaad ka

ye ada-e-dil-rubayana ye andaz-e-haya
kis tarah phir kaam karti hai nazar jallad ka

'wahshat' us but ne taghaful jab kiya apna shiar
kaam khamoshi se main ne bhi liya fariyaad ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close