maine sirf apne nasheman ko sajaya sal bhar

main ne sirf apne nasheman ko sajaya sal bhar
fasl-e-gul bhi is liye aai hai ab ke dal bhar

bad-gumani aai to le jaegi rishte tamam
dekhna niklegi in shishon ki hasti baal bhar

wo zamana thik tha iman lane ke liye
haidar-e-karrar bhar khair aur shar dajjal bhar

aaj meri arz par zulfen agar kholega wo
kal hasad ki aag mein jal jaega bangal bhar

kar diya chaak-e-gareban ne tujhe bhi mo'atabar
chal diwane tu bhi ab jeb-e-junun mein mal bhar

sajda bhar iman baqi rah gaya hai shaikh ka
aur aqidat-e-barahman ki rah gai hai thaal bhar

nek-o-bad ki kashmakash mein hain kiraman-katibin
chal 'shuja' ab khud hi apna nama-e-amal bhar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close