majbur to bahut hain mohabbat mein ji se hum

majbur to bahut hain mohabbat mein ji se hum
ye aur baat hai na kahen kuchh kisi se hum

ek sham ham-sukhan the chaman mein kali se hum
yaadash-ba-khair phir na mile zindagi se hum

allah re wo waqt wo majburi-e-hayat
ro ro ke ho rahe the juda jab kisi se hum

taklif-e-iltifat na kar ai nigah-e-naz
ab mutmain hain apne gham-e-zindagi se hum

hain yaad us nazar ki taghaful-shiariyan
ba-wasf-e-irtibaat bhi the ajnabi se hum

badhti hi ja rahi hain abas bad-gumaniyan
na-ashna nahin hain teri barhami se hum

ek ek ada-e-husn-e-gurezan nazar mein hai
pamal ho rahe hain badi be-rukhi se hum

har-su hai ek aalam-e-wahshat shab-e-firaq
ghabra rahe hain silsila-e-tirgi se hum

ghaarat kiya hai jis ne hamara sukun-e-dil
'muztar' sukun-e-dil ke hain khwahan usi se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close