sab se pahle to arz matla hai

sab se pahle to arz matla hai
yun samajhiye ki us ka jalwa hai

aaina jhut bolne ke liye
sau bahane talash karta hai

zinda rakkhegi shaeri mujh ko
kaun kahta hai is mein ghata hai

dil-e-shair bhi hai phisaddi hi
husn ke pichhe pichhe rahta hai

sach zamini ki aasmani ho
wo badan zinda istiara hai

koi achchha sa sher ho jae
phir to barson khamosh rahna hai

apne bare mein sochne ke liye
dur se chand ka ishaara hai

chhu ke malbus-e-yar hai guzri
mood bigda hua saba ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close