majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte

majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte
ghar hi ja sakte the aawara-e-shab, kya karte

ye to achchha kiya tanhai ki aadat rakkhi
tab use chhod diya hota to ab kya karte

raushni, rang, mahak, tair-e-khush-lahn, saba
tu na aata jo chaman mein to ye sab kya karte

dil ka gham dil mein liye laut gae hum chup-chap
koi sunta hi na tha shor-o-shaghab kya karte

baat karne mein hamein kaun si dushwari thi
us ki aankhon se takhatub tha so lab kya karte

kuchh kiya hota to phir zoam bhi achchha lagta
hum ziyan-kar the, elan-e-nasab kya karte

dekh kar tujh ko sirhane tere bimar-e-junun
jaan-ba-lab the, so hue aah-ba-lab, kya karte

tu ne diwanon se munh mod liya, thik kiya
in ka kuchh thik nahin tha ki ye kab kya karte

jo sukhan-saz churaate hain mera tarz-e-sukhan
un ka apna na koi taur, na dhab, kya karte

yahi hona tha jo 'irfan' tere sath hua
munkir-e-'mir' bhala tera adab kiya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close