makan se la-makan tak aa gae hain

makan se la-makan tak aa gae hain
kahan se hum kahan tak aa gae hain

jahan jalte hain par hosh-o-khirad ke
junun mein hum wahan tak aa gae hain

bhadak utthi hai kaisi aatish-e-gul
sharare aashiyan tak aa gae hain

khulus-e-dosti par marne wale
hayat-e-jawidan tak aa gae hain

hamari gum-rahi manzil nishan hai
tajassus mein kahan tak aa gae hain

wahan dil mein mohabbat ki kami hai
jahan shikwe zaban tak aa gae hain

tamasha-e-bahaar-e-gul ki shaida
bahaar-e-gul-rukhan tak aa gae hain

maqam apna nahin malum lekin
jahan tum ho wahan tak aa gae hain

kisi ke jalwa-ha-e-hairat-angez
nazar ke imtihan tak aa gae hain

na pahunche khana-e-dil ke makin tak
zamin se aasman tak aa gae hain

guzar kar hum khudi wahm-o-guman se
khuda jaane kahan tak aa gae hain

'rishi' manzil nahin ab dur hum se
ghubar-e-karwan tak aa gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close