mana ki mera dil bhi jigar bhi hai koi chiz

mana ki mera dil bhi jigar bhi hai koi chiz
lekin wo nazar tir-e-nazar bhi hai koi chiz

mumkin nahin wo chahne walon ko na chahen
ikhlas-o-mohabbat ka asar bhi hai koi chiz

lut jae ki rah jae rah-e-ishq-o-wafa mein
dil bhi hai koi mal jigar bhi hai koi chiz

un se jo na uttha tha use is ne uthaya
qail hain malaek ki bashar bhi hai koi chiz

chhupne ke liye shauq se parde mein chhupen aap
itna rahe malum nazar bhi hai koi chiz

ye kasrat-e-azar-o-gham-o-ranj kahan tak
ai sham shab-e-hijr-e-sahar bhi hai koi chiz

kahte ho hum aaenge magar zulm karenge
socho tum agar to ye magar bhi hai koi chiz

baqi na rahi nawak-e-dil-doz ki hajat
zalim teri sidhi si nazar bhi hai koi chiz

nale se kahunga ki pahunch arsh-e-barin tak
ab tez musafir ye safar bhi hai koi chiz

betab udhar aap pareshan idhar hum
aapas ki mohabbat ka asar bhi hai koi chiz

chalti hui mere dil-e-betab ko le kar
lakhon mein wo duzdida nazar bhi hai koi chiz

be-kar na jaega mere dil ka tadapna
nala hai koi shai to asar bhi hai koi chiz

aankhon ke liye zauq-e-nazar bhi hai koi baat
pahlu ke liye dard-e-jigar bhi hai koi chiz

allah re tere husn-e-ziya-bar ka jalwa
ye pesh-e-nazar ho to nazar bhi hai koi chiz

ai 'nuh' shab-e-mah mein pas us ko bitha kar
kahta hun mera rashk-e-qamar bhi hai koi chiz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close