manzar tha rakh aur tabiat udas thi

manzar tha rakh aur tabiat udas thi
har-chand teri yaad mere aas pas thi

milon thi ek jhulasti hui dopahar ki qash
sine mein band sainkadon sadiyon ki pyas thi

utthe naha ke shoalon mein apne to ye khula
sare jahan mein phaili hui teri bas thi

kaise kahun ki main ne kahan ka safar kiya
aakash be-charagh zamin be-libas thi

ab dhul mein ati hui rahon pe hai safar
wo din gae ki panw-tale narm ghas thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close