manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae kya safar tha mere sare khwab ghar mein rah gae ab koi taswir bhi apni jagah qaem nahin ab hawa ke rang hi meri nazar mein rah gae jitne manzar the mere ham-rah ghar tak aae hain aur pas-e-manzar sawad-e-rah-guzar mein rah gae apne qadmon ke nishan bhi band kamron mein rahe taqchon par bhi diye khali nagar mein rah gae kar gai hai nam se ghafil hamein apni shanakht sirf aawazon ke sae hi khabar mein rah gae na-khudaon ne palat kar jaane kyun dekha nahin kashtiyon ke to kai takhte bhanwar mein rah gae kaisi kaisi aahaten alfaz ka paikar banin kaise kaise aks meri chashm-e-tar mein rah gae hath ki sari lakiren panw ke talwon mein thin aur mere ham-safar gard-e-safar mein rah gae kya hujum-e-rang 'akhtar' kya farogh-e-bu-e-gul mausamon ke zaiqe budhe shajar mein rah gae