manzilon se begana aaj bhi safar mera

manzilon se begana aaj bhi safar mera
raat be-sahar meri dard be-asar mera

gumrahi ka aalam hai kis ko ham-safar kahiye
thak ke chhod baithi hai sath rahguzar mera

wo farogh-e-khalwat bhi anjuman-sarapa bhi
bhar gaya hai phulon se daman-e-nazar mera

ab tere taghaful se aur kya talab kije
shauq-e-na-rasa mera ishq-e-mo'atabar mera

daur-e-kam-ayari hai kuchh pata nahin chalta
kaun mera qatil hai kaun chaara-gar mera

na-guzir hasti hain fasl-e-gul ke hangame
shozish-e-numu teri fitna-e-sharar mera

kuchh batao to aakhir kya jawab dun us ko
ek sawal karta hai roz mujh se ghar mera

aasman ka shikwa kya waqt ki shikayat kyun
khun-e-dil se nikhra hai aur bhi hunar mera

dil ki be-qarari ne hosh kho diye 'taban'
warna aastanon par kab jhuka tha sar mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close