maqtal mein chamakti hui talwar the hum log

maqtal mein chamakti hui talwar the hum log
jaan nazr-guzari pe bhi tayyar the hum log

hum ahl-e-sharaf log the is shahr mein lekin
ruswa bhi sar-e-kucha-o-bazar the hum log

kaam aate na the hum ko bas ek kar-e-junun ke
duniya ki nigahon mein to bekar the hum log

is nisbat-e-haq mein ye sharaf kam to nahin hai
zindiq bhi kafir bhi gunahgar the hum log

us ko bhi to kuchh husn ne maghrur kiya tha
kuchh apni ana mein bhi giraftar the hum log

kuchh yaadon ne us ki hamein nashad kiya hai
kuchh apni tabiat se bhi bezar the hum log

ab tu ne bhi apnane se inkar kiya hai
a wahshat-e-shab tere aza-dar the hum log

a 'shahid'-e-khush-bakht 'yagana' se ye kah do
kahte hain ki 'ghaalib' ke taraf-dar the hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close