umr bhar ba-asani bar-e-gham uThane se

umr bhar ba-asani bar-e-gham uthane se
un pe e'tibar aaya khud ko aazmane se

is hujum mein tujh ko kya khabar hui hogi
kis ko kya talluq tha tere aastane se

yun salam aane par ek khalish si hoti hai
kash hum ko bulwate wo kisi bahane se

han to un ki khatir se kyun tarawashen karte
jis tarah wahan guzri kah gae zamane se

jab bhi bazm-e-alam mein koi fitna uthta hai
ya tumhaari mahfil se ya gharib-khane se

silsila yahi hoga rukh badalte jaenge
main teri haqiqat se tu mere fasane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close