mar ke TuTa hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat

mar ke tuta hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat
magar itna hai ki zanjir badal jati hai

asar-e-ishq taghaful bhi hai bedad bhi hai
wahi taqsir hai tazir badal jati hai

kahte kahte mera afsana gila hota hai
dekhte dekhte taqdir badal jati hai

roz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaz
roz dil mein teri taswir badal jati hai

ghar mein rahta hai tere dam se ujala hi kuchh aur
mah o khurshid ki tanwir badal jati hai

gham nasibon mein hai 'fani' gham-e-duniya ho ki ishq
dil ki taqdir se tadbir badal jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close