marhala raat ka jab aaega jism sae ko taras jaega chal padi rasm jo kaj-fahmi ki baat kya phir koi kar paega sach se katrae agar log yahan lafz mafhum se katraega e'tibar us ka hamesha karna wo to jhuti bhi qasam khaega tu na hogi to phir ai sham-e-firaq kaun aa kar hamein bahalaega hum use yaad bahut aaenge jab use bhi koi thukraega kaenat us ki meri zat mein hai mujh ko kho kar wo kise paega na rahe jab wo bhale din bhi 'qatil' ye zamana bhi guzar jaega