masalon ki bhid mein insan ko tanha kar diya irtiqa ne zindagi ka zakhm gahra kar diya dedh neze par tange suraj ki aankhen noch lo be-sabab dahshat-zada mahaul paida kar diya fikr ki la-markaziyat jagti aankhon mein khwab ham-khayali ne zamane bhar ko apna kar diya ek shajar ko jism ki nam sabz-gahon ki talash aur is tahrik ne jangal ko suna kar diya khun ki surkhi safedi ki tarah mahw-e-safar kuchh nae rishton ne har rishte ko ganda kar diya ek kiran taskhir-e-kul ki samt tha pahla qadam aag ugalti aandhiyon ne hum ko andha kar diya