zehn ka kuchh muntashir to haal ka khasta raha kitna meri zat se wo shakhs wabasta raha subh-e-kazib raushni ke jal mein aane lagi sim-gun suraj ujale par kamar-basta raha dekhne mein kuchh hun main mahsus karne mein hun kuchh chashm-e-bina par mera ye raaz sar-basta raha apne zindan se nikalna apni taqat mein nahin har bashar apne liye zanjir pa-basta raha pursish-e-gham mein na mujh se hi mahz ujlat hui us ki aankhon ka chhalak padna bhi barjasta raha apne andar ki khalish ka kar liya main ne ilaj mere dil mein dusron ka dard paiwasta raha ya masail se taqabul zindagi se ya farar bach nikalne ka wahan se ek hi rasta raha