masti-e-gam bhi thi ghaflat-e-anjam ke sath

masti-e-gam bhi thi ghaflat-e-anjam ke sath
do ghadi khel liye gardish-e-ayyam ke sath

tishna-lab rahne pe bhi sakh to thi shan to thi
waz-e-rindana gai ek talab-e-jam ke sath

jab se hangam-e-safar ashkon ke tare chamke
talkhiyan ho gain wabasta har ek sham ke sath

ab na wo shorish-e-raftar na wo josh-e-junun
hum kahan phans gae yaran-e-subuk-gam ke sath

ud chuki hain sitam-araon ki ninden aksar
aap suniye kabhi afsana ye aaram ke sath

is mein saqi ka bhi dar-parda ishaara to nahin
aaj kuchh rind bhi the waiz-e-badnam ke sath

ghair ki tarah mile ahl-e-haram ai 'zaidi'
mujh ko yak-go na aqidat jo thi asnam ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close