hanste hue man-bap ki gali nahin khate

hanste hue man-bap ki gali nahin khate
bachche hain to kyun shauq se mitti nahin khate

tum se nahin milne ka irada to hai lekin
tum se na milenge ye qasam bhi nahin khate

so jate hain footpath pe akhbar bichha kar
mazdur kabhi nind ki goli nahin khate

bachche bhi gharibi ko samajhne lage shayad
ab jag bhi jate hain to sahari nahin khate

dawat to badi chiz hai hum jaise qalandar
har ek ke paison ki dawa bhi nahin khate

allah gharibon ka madad-gar hai 'rana'
hum logon ke bachche kabhi sardi nahin khate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close